Sultan Ali Rehmani Lakhnawi Barbar ne bayan kia ke,"Mai Dada miya( Hazrat Molana Ahmad miya Ganj muradabadi Sahab) ki Hajamat bana raha tha ke ittila huyi ke ek shaks Ehsan Ali Kodh(Leprosy) ke marz me mubtila hai aur Hath aur Pair ki Ungliya gir chuki hai aur Kandhe se pani tapka karta hai, Dada miya Hazrat Molana Ahmad Miya Ganj muradabadi alaihir rehma ne farmaya ,"Khanqah ke kone me thehra do" maghrib bad inko khana bhejne kay baad phir Isha ki namaz padhkar jab Dada Hazrat Molana Ahmad Miya alaihir rehma ka guzar Ehsan ali ke paas se hua to Apne Ehsan ali ko Gaur se dekha aur farmaya,"chadar odh kar so jao aur kisi se bat na karna " raat ko jab takreeban char baje se pehle ehsan ali ki aankh khuli to hatho aur pairo ki sab ungliya bhali -changi taur par maujood thi
Kuch der tak ehsan Ali saakin rahe phir sajda e shukr me gir padhey,
Jab dada Hazrat Molana Ahmad miya alaihir rehma masjid me tashreef laye to ehsan ali qadmo me gir padhe aur mureed huwe,Dada miya ne farmaya ,"Namaz ki pabandi aur Shukr khuda kabhi na bhulna"
Subhan Allah...Beshaq ! ALLAH ki sifat SHAFI hai aur wo apni sifat apne Mehboob bando ko bhi Ata kar deta hai shafqat ke waste, Hazrat Maulana Ahmed Miya Sahab Hazrat Qutub Ul Aqtab Hazrat Maulana Fazle Rehma Ganj Muradabadi alaih rehmato rizwan kay badey sahab zadey aur janasheen rahay.
Hazrat Maqbool Ahmed Sahab (Rehmatulahi Alaih) Bihar Ke Ashapur, District Darbhanga Kay Manay Janey Buzurg Hai, Hazrat Ka Mureed Honay Ka Wakeya Bada Hi Zabardast Hai Jo Aap Sab Say Share Kar Raha Hun.
Hazrat Maqbool Ahmed Sahab (Rehmatulahi Alaih) Ek Arsay Tak Peer E Kamil Ki Talash Main Rahaey, Buchpan Say Hi Aap Main Faqeeri Ki Jhalak Nazar Aty Aur Kisi Aisay Cheez Ki Talash Main Hotay Ki Jisaky Zariye Unko Qurb E Ilahi Hasil Ho Sakay...ek Zaman Apnay Isi Talash Main Guzara, Aur Ek Din Karam Pay Karam Hua, Hamarey Aqa Wa Maula, Sarkaare Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Hazrat Maqbool Ahmed Rehmatullah Alaih Ke Khwab Me Tashrif Laate Hain...... Subhan Allah Aur Farmaate Hain Maqbool Ahmed Jaao Ganjmuradabad Chale Jaao, Aur Waha Mere Hi Naam Ke Ek Buzurg Hain Unse Mureed Ho Jaao Jinka Naam Ahmed Miya Hai, Taajjub Ki Baat Hai Usi Raat Uttar Pradesh Ke Ganjmuradabad Sharif Me, Sarkaare Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam, Huzoor Ahmed Miya Rehmatullah Alaih Ke Khwab Me Bhi Tashrif Laa Karfarmaate Hain Bihar Se Tumhare Paas Maqbool Ahmed Aayenge, Maqbool Ahmed Ko Mureed Kar Lena....yaani Ek Hi Raat Me Dono Jagah Didaar Ho Raha Tha, Hazrat Maqbool Ahmed Bihar Ke Ashapur Se Paidal Chalte Hue Gunjmuradabad Sharif Ko Chal Pade, Aapne Paidal Taqreeban 600 Kilometres Ka Faasla Teh Kiya... Jab Ganjmuradabad Sharif Pahunche To Shaikh Ne Mohabat Main Galey Se Laga Liya Aur Apna Mureed Banaliya, Saath Saath Khilaafat Bhi Usi Waqt Ataa Farmayi....Hazrat Ahmed Miya Sahab Rehmatullah Alaih, Hazrat Fazle Rehma Sahab Rehmatullah Alaih Kay Sahabzadey aur Janasheen Thay.
Hazrat Maqbool Ahmed Sahab Rehmatullah Alaih, Bayt Honay Kay Baad Apnay Peer Ki Khidmat Main Lag Gaye Aapnay Apnay Peer Ko Razi Karnay Kay Liye Har Mumkin Koshih Ki Aur Ek Deen Hazrat Ahmed Miya Sahab Rehmatullah Alaih Ne Khush Hokar Kaha Maqbool Ahmed Jo Maangna Hai Maanglo Aaj Jo Mangna Hai Mujhse Manglo. Allahu Akbar Hazrat Maqbool Ahmed Rehmatullah Alaih Ne Arz Kiya Huzoor Mujhe "Saaniye Saabir" Chahiyeyaani Aisi Aulaad Chahiye Jo Saabir Paak Kaliyari Ka Saani Ho....Apka Ye Maangna Dekhkar, Peer Bhi Hairaan Hue, Kaafi Soch Me Pad Gayemagar Peer Ne Kaha Tha Jo Chaaho Maango.....ab Maamla Pechida Hogaya. Itni Badi Cheez Maangli Thi, Peer Ne Kaha Aao Qareeb Aao Aur Aankhe Band Karo, Peer Aur Mureed Dono Aankhe Band Karke Muraqib Hue (Meditation)...muraaqbe Ki Haalat Me Dono Kaliyar Sharif Me Huzoor Makhdoom Alauddin Ali Ahmed Saabir Paak Rehmatullah Alaih Ki Baargaah Me Haazir Hue....
Dono Ne Makhdoom Paak Ki Baargaah Me Nihaayat Adab Ke Saath Salam Pesh Kiya.....hazrat Ahmed Miya Sahab Rehmatullah Alaih Ne Sabir Paak Se Arz Kiya Aur Kaha Ki Huzoor Mere Is Mureed Ne Mujhse Aisi Cheez Maangi Hai Jo Aapki Ijaazat Aur Aapki Ataa Ke Bina Mumkin Nahi, Hazrat Makhdoom Paak Sarkar Alauddin Ali Ahmed Sabir Paak Rehmatullah Alaih Farmaate Hain Jaao Tumhare Mureed Ki Fariyaad Puri Hogi, Aur Farmaye Maqbool Ahmed Ke Ghar Mera Saani Paida Hoga Naam Mera Hi Rakhna....aisa Hi Hua Kuch Din Baad Ashapur Sharif Me Hazrat Maabool Ahmed Rehmatullahalaih Ke Ghar "Saaniye Saabir" Paida Hue, Aapka Naam Bhi Saabir Paak Rehmatullah Alaih Ke Huqm Ke Mutabiq, Alauddin Ali Ahmed Sabir Aishapuri Rakha Gaya......kaliyar Waale Saabir Paak Ne Ashapur Waale Saabir Paak Ko Apna Mazhar Bana Diya....aur Bahut Se Aise Waaqiyaat Hue Jisse Sabko Maanna Pada Ki Waaqayi Me Ye "Saaniye Saabir Hain"... Hazrat Maqbol Ahmed Sahab Rehmatullah Alaih Aur Hazrat Alauddin Ali Ahmed Sabir Aishapuri Rehmatullah Alaih In Dono Buzrgo Ki Mazar E Aqdas Ashapur Main Hi Hai.
Dekha Mera Azizio Kya Shaan Hai Khanqa E Fazle Rehmani Kay Buzrgo Ki, Jisnay Jo Chaha Wo Ata Kiya Gaya, Aisay An Ginat Mamlat Huye Hai Ki Mangto Ki Jholiya Bhari Gaye Hai, Koi Aisa Khanqa Nahi Thy Jahan Say Mashakih Ya Ulema E Karam Hazrat Ki Bargah Main Faiz Lene Na Atay Ho, Haan Is Khanqa Ki Ye Khasiyat Rahy Hai Ki Is Hath Say Ata Kiya Aur Dusray Ko Khabar Bhi Na Honay Di, Yahi Asal Faqeeri Hai Kyu Ki Charcha Haqeetan To Sirf Allah Aur Uskay Rasool Sal Lal Laho Tala Alahi Wasalam Ka Hai.
Hazrat Sultan Ali rehmani mazkoor jo dada miya Hazrat Molana Ahmad miya Ganj muradabadi rehmatullah alaih ki khidmat khusoosi me raha karte they ...to bayan karte hai k ,"meri biradari ke logo se wajid ali sakin rudaulvi aastane par aaye aur mujh se mile aur kaha k ,"paitees baras (35 years) ho chuke hai aur paidaishi namard hu aur ilaaj se aajiz hu, akhiri Ummeed par aya hu" Sultan ali rehmani sahab ne unko tasalli di aur jab woh dada miya ke sar par tel lagane lage to wajid ali sakin rudaulvi ne arz kiya," Biradari walo me mera mooh saamne nahi hota ,woh chot (tanz) karte hai k khidmat me rehkar bhi itna na kar sake !"
Phir dada miya Ne ek paan mangwa kar kuch chabaya phir wajid ali se farmaya ke "isko khaa jao !"
Wajid ali paan khakar ghar rawana huwe aur ghar pohochne se pehle hi sahih Quwwat e mardana paayi or theek nave maah ladhka paida hua aur isko lekar wajid ali hazir khidmat huwe aur aqeeqah kiya,Is tarah teen aulaade inke aur huyi aur sabke aqeeqah aastane par kiye.
SubhanALLAH...yahan dada miyan say murad kayum e dauran Hazrat Ahmed Miya Sahab (alaih rehmato rizwan) hai jo ki farzand e awaal hai, Owais E Dauran,G aus E Zamana, Hazrat Maulana Shah Fazle rehma Ganj muradabadi kay,.....Maulana baba wa aale fazle rehma par caroron salam.
Fareed Ahmad Khan Faizabadi ne kaha ke," mere ghar me Jinnato ne aesa sataya ke na janwar zinda bache aur na hi aulad bachi ...Jab ghar ke saat aadmi mar gaye to sirf ek ladhka aur biwi reh gayi...."
Jab fareed Ahmad khan faizabadi ne Molana shah niyaz Ahmad sahab se yeh waqya bataya to unhone kaha,"siwaye Molana Ahmad miya Sahab ke koi fateh na paa sakega!"Jab fareed Ahmad khan ne Ganjmuradabad shareef Hazir hokar sara maajra arz kiya to Dada miya Hazrat Molana Ahmad miya alaihir rehma ne farmaya,"tum yaha se jakar itna keh dena ke seedhi tarah bhaagte ho to bhaag jao ,warna agar humko ana padha to kya reh jayga?" Jab Fareed Ahmad khan ne yahi paigam kaha to sab is tarah aman ho gaya ke paitalees baras(45 years) ki umar me paach aulaade bhi Dada Ahmad miya rehmatullah alaih ki duao se ata hui aur Jaanwar bhi khoob pale badheMasha Allah ....Farzand e Fazle rehman Hazrat dada Ahmad miya alaihir rehma to wo Wali hai jinki chaukhat par Jinnat to kya ...Malaika bhi dast basta hazir rahe